Aao jag ke log sab hi

आओ जग के लोग सब ही

Unknown Artist

English Lyrics

Aao jag ke log sab hi
Yeshu raja bulata hai.

1. Jag mein jiska sthan nahin hai
Jag mein jiska maan nahin hai
Raaj tumhein dene ke liye
Yeshu raja bulata hai.

2. Jag mein tum ho bhookhein marte
Jag mein tum ho pyaase marte
Bhojan jal ab muft mein dene
Yeshu raja bulata hai.

3. Sir par kanton ka taaz nishani
Chhap hai uski behti pasli
Chhede hath pasare huye
Yeshu raja bulata hai.

4. Aao bhaiyon aao behnon
Aao usko parkho dekhoon
Saara bhar uthane ke liye
Yeshu raja bulata hai.

Native Lyrics

आओ जग के लोग सब ही
यीशु राजा बुलाता है।

1. जग में जिसका स्थान नहीं है
जग में जिसका मान नहीं है
राज तुम्हें देने के लिए
यीशु राजा बुलाता है।

2. जग में तुम हो भूखें मरते
जग में तुम हो प्यासे मरते
भोजन जल अब मुफ्त में देने
यीशु राजा बुलाता है।

3. सिर पर कांटों का ताज़ निशानी
छाप है उसकी बहती पसली
छेदे हाथ पसारे हुये
यीशु राजा बुलाता है।

4. आओ भाइयों आओ बहनों
आओ उसको परखो देखों
सारा भार उठाने के लिए
यीशु राजा बुलाता है。
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"