Aasmanon Mein Hai, Mera Bhi Ek Makan
आसमानों में है, मेरा भी एक मकान
Unknown Artist
English Lyrics
Aasmanon mein hai, mera bhi ek makan Aasmanon mein hai, mera bhi ek makan Usmein rahenge hum jaakar, chhodenge jab yeh jahan 1 Main kahe ghabraoon, mera bharosa wahi Usne kiya hai waada, waada hai saccha sahi Jagah banaoon jaake, apne pita ke yahan Aasmanon mein hai, mera bhi ek makan 2 Likha gaya memne ki, pustak mein mera bhi naam Mujh paapi par hua tha, uske poojan ka yeh kaam Usne bachaya hai mujhko, wah hai bada meharwan Aasmanon mein hai, mera bhi ek makan 3 Jhoothe jahan mein tasalli, kabhi nahin paoge Yeshu ke paas bojh laao, tabhi aaraam paoge Uske sang rahenge hum jaake, chhodenge jab yeh jahan Aasmanon mein hai, mera bhi ek makan
Native Lyrics
आसमानों में है, मेरा भी एक मकान आसमानों में है, मेरा भी एक मकान उसमें रहेंगे हम जाकर, छोड़ेंगे जब यह जहाँ 1 मैं काहे घबराऊँ, मेरा भरोसा वही उसने किया है वादा, वादा है सच्चा सही जगह बनाऊँ जाके, अपने पिता के यहाँ आसमानों में है, मेरा भी एक मकान 2 लिखा गया मेमने की, पुस्तक में मेरा भी नाम मुझ पापी पर हुआ था, उसके पूजन का यह काम उसने बचाया है मुझको, वह है बड़ा मेहरवान आसमानों में है, मेरा भी एक मकान 3 झूठे जहाँ में तसल्ली, कभी नहीं पाओगे यीशु के पास बोझ लाओ, तभी आराम पाओगे उसके संग रहेंगे हम जाके, छोड़ेंगे जब यह जहाँ आसमानों में है, मेरा भी एक मकान