Ab Ho Tareef Khudawand Ko

1 अब हो तारीफ़ खुदावन्द को

Unknown Artist

English Lyrics

1 Ab ho tareef khudawand ko
Ki bakhsha Yeshu ko
Ki uske naam se aadam zaad
Najaat ke waaris hon
Ho mubarak naam, ho mubarak naam
Ho mubarak naam Yeshu ka
2 Wo naam hai sab par aalishan
Najaat ka hai balsaand
Hai baap ki god mein sarfaraz
Saath kul firishtegaan
3 Shaafi o munji dost azeez.
Jo bari tha pasthaal
Najaat ka chashma tujhse hai
Aur raasti ba kamaal
4 Naam uska hai ajeeb musheer
Salaamti ka shaah!
Khudaya kaadir sabka baap
Alpha aur Omega
5 Ai momineen khush hoke gao
Tareef aur hamd karo
Apne jalaali baadshah ko
Aasmani raag sunao

Native Lyrics

1 अब हो तारीफ़ खुदावन्द को
कि बख्शा यीशु को
कि उसके नाम से आदम ज़ाद
नजात के वारिस हों
हो मुबारक नाम, हो मुबारक नाम
हो मुबारक नाम यीशु का
2 वो नाम है सब पर आलीशान
नजात का है बलसान
है बाप की गोद में सरफ़राज़
साथ कुल फ़िरिश्तेगान
3 शाफ़ी ओ मुन्जी दोस्त अज़ीज़.
जो बरी था पस्तहाल
नजात का चश्मा तुझसे है
और रास्ती बा कमाल
4 नाम उसका है अजीब मुशीर
सलामती का शाह!
खुदाया कादिर सबका बाप
अल्फ़ा और ओमेगा
5 ऐ मोमिनीन खुश होके गाओ
तारीफ़ और हम्द करो
अपने जलाली बादशाह को
आस्मानी राग सुनाओ
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"