Dekho Dekho Koi Aa Raha Hai

देखो देखो कोई आ रहा है

Unknown Artist

English Lyrics

Dekho dekho koi aa raha hai

Dekho dekho koi aa raha hai
kaisa jalwa Masih aa raha hai
aankhein apni uthakar to dekho
kaisi shan se Masih aa raha hai

Vo bhi kaisi sawari hai dekho
aasman ki bedari to dekho
baaje bajte hain, doot gaate hain,
kyonki doolha chala aa raha hai
dekho dekho...

Vahan sooraj aur chaand hai na koi
ab to murd pade hain na koi
ham sab darte hain aur kaanpte hain
naya karne Masih aa raha hai
dekho dekho...

Yah duniya hamari mitegi
ek nai duniya phir se banegi
sab naya hoga, jag naya hoga
raaj karne Masih aa raha hai
dekho dekho...

Ab nahi hai vo kaanton ka sehra
vo to pahne hai doolhe ka sehra
jindagi jab tak, kaisi pyari dulhan
jisko lene Masih aa raha hai,
dekho dekho...

Native Lyrics

देखो देखो कोई आ रहा है

देखो देखो कोई आ रहा है
कैसा जलवा मसीह आ रहा है
आँखें अपनी उठाकर तो देखो
कैसी शान से मसीह आ रहा है

वो भी कैसी सवारी है देखो
आसमां की बेदारी तो देखो
बाजे बजते हैं, दूत गाते हैं,
क्योंकि दूल्हा चला आ रहा है
देखो देखो...

वहां सूरज और चाँद है न कोई
अब तो मुर्द पड़े हैं ना कोई
हम सब डरते हैं और काँपते हैं
नया करने मसीह आ रहा है
देखो देखो...

यह दुनिया हमारी मिटेगी
एक नई दुनिया फिर से बनेगी
सब नया होगा, जग नया होगा
राज करने मसीह आ रहा है
देखो देखो...

अब नहीं है वो कांटों का सेहरा
वो तो पहने है दूल्हे का सेहरा
जिन्दगी जब तक, कैसी प्यारी दुल्हन
जिसको लेने मसीह आ रहा है,
देखो देखो...
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"