Premi Maseeh Ke Prem Barabar

प्रेमी मसीह के प्रेम बराबर

Unknown Artist

English Lyrics

1 Premi Maseeh ke prem barabar
Premi hai koi nahin,
Prem bana wah mujassam,
Prem se dee hai
Prem se dee hai tasalli,
Prem nagar mein viraja.

2 Premi Maseeh ke prem ke liye
Dil mein jagah hai nahin
Prem ke jo hai bairi,
Prem se aankh churani
Kab tak door rahega
Sundar samay khoyega......

3 Howe kaise paapi ai bhai,
Prem wah karta tujhe,
Paap ka bhaar too laakar,
Charnon mein sheesh nawa de,
Mukti daata hai Yishu,
Sach hai bachata Yishu......

4 Gaflat mein kyon bhoola phire hai,
Mukti se aisi badi,
Aaj ke din mukti ka
Anubhav kar le too uska
Den khuda ki yeh hai
Aaja ise too apna le...

5 Sankat mein wah saath bhi deta,
Mitra hai saccha wahi
Dukh mein wahi sambhale,
Jab koi kaam na aae,
Yishu ki mujhko suhae,
Aur yaad na aae...

Native Lyrics

1 प्रेमी मसीह के प्रेम बराबर
प्रेमी है कोई नहीं,
प्रेम बना वह मुजस्सम,
प्रेम से दी है
प्रेम से दी है तसल्ली,
प्रेम नगर में विराजा।

2 प्रेमी मसीह के प्रेम के लिए
दिल में जगह है नहीं
प्रेम के जो है बैरी,
प्रेम से आँख चुरानी
कब तक दूर रहेगा
सुन्दर समय खोएगा......

3 होवे कैसे पापी ऐ भाई,
प्रेम वह करता तुझे,
पाप का भार तू लाकर,
चरणों में शीश नवा दे,
मुक्ति दाता है यीशु,
सच है बचाता यीशु......

4 गफ़लत में क्यों भूला फिरे है,
मुक्ति से ऐसी बड़ी,
आज के दिन मुक्ति का
अनुभव कर ले तू उसका
देन खुदा की यह है
आजा इसे तू अपना ले...

5 संकट में वह साथ भी देता,
मित्र है सच्चा वही
दुःख में वही संभाले,
जब कोई काम न आए,
यीशु की मुझको सुहाए,
और याद न आए...
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"