Teri Aaradhna Karoon
तेरी आराधना करूँ
Unknown Artist
English Lyrics
Teri aaradhna karoon Teri aaradhna karoon Paap kshama kar, jeevan de de Daya ki yaachna karoon Too hi mahaan, sarvashaktimaan Too hi hain mere jeevan ka sangeet Hriday ke taar, chhede jhankaar-2 Teri aaradhna hai madhur geet-2, Jeevan se mere too mahima paaye Ek hi kaamna karoon Paap kshama kar... Srishti ke har ek kan kan mein Chhaaya hai teri hi mahima ka raaj, Pakshi bhi karte hain teri prashansa -2 Har pal sunaate hain aanand ka rag-2 Meri bhi bhakti tujhe grahan ho, Hriday se praarthna karoon, Paap kshama kar... Patit jeevan mein jyoti jala de, Tujh hi se lagi hai aasha meri Paapmay dam too door hata de -2 Poorn ho abhilaasha meri – 2 Jeevan ke kathin dukhi kshanon ka, Dridhta se samaana karoon, Paap kshama kar...
Native Lyrics
तेरी आराधना करूँ तेरी आराधना करूँ पाप क्षमा कर, जीवन दे दे दया की याचना करूँ तू ही महान, सर्वशक्तिमान तू ही हैं मेरे जीवन का संगीत हृदय के तार, छेड़े झनकार-2 तेरी आराधना है मधुर गीत-2, जीवन से मेरे तू महिमा पाये एक ही कामना करूँ पाप क्षमा कर... सृष्टि के हर एक कण कण में छाया है तेरी ही महिमा का राज, पक्षी भी करते हैं तेरी प्रशंसा -2 हर पल सुनाते हैं आनंद का राग-2 मेरी भी भक्ति तुझे ग्रहण हो, हृदय से प्रार्थना करूँ, पाप क्षमा कर... पतित जीवन में ज्योति जला दे, तुझ ही से लगी है आशा मेरी पापमय दम तू दूर हटा दे -2 पूर्ण हो अभिलाषा मेरी – 2 जीवन के कठिन दुखी क्षणों का, दृढ़ता से समाना करूँ, पाप क्षमा कर...