Ambar Bhi Naya Dharti Bhi Nai
अम्बर भी नया, धरती भी नई
Unknown Artist
English Lyrics
Ambar bhi naya, dharti bhi nai Aur naya yerushalem hoga Her subah nai, her shaam nai Her vakt suhana hoga Sundar sa ek nagar hoga (2) Andhe ki aankh khulegi, bahre ka kaan khulega (2) Daudega zor se langda, goonga mahima gayega Koi kasht nahi , aansu bhi nahi Bas pyar hi pyar hoga;- her subah nai Sooraj bhi na dubega, chaand bhi na soyega (2) Kabhi andhera na hoga, aur paap ka naam na hoga Wahan maut nahi, bimari nahi Kabhi kisi ka ant na hoga;- her subah nai
Native Lyrics
अम्बर भी नया, धरती भी नई और नया येरूशलेम होगा हर सुबह नई, हर शाम नई हर वक्त सुहाना होगा सुन्दर सा एक नगर होगा (२) अंधे की आँख खुलेगी, बहरे का कान खुलेगा (२) दौडेगा ज़ोर से लंगडा, गूंगा महिमा गायेगा कोई कष्ट नही , आंसू भी नही बस प्यार ही प्यार होगा;- हर सुबह नई सूरज भी न डुबेगा, चाँद भी न सोयेगा (२) कभी अँधेरा न होगा, और पाप का नाम न होगा वहां मौत नही, बिमारी नही कभी किसी का अंत न होगा;- हर सुबह नई