Ambar Bhi Naya Dharti Bhi Nai Aur Naya
अम्बर भी नया, धरती भी नई और
Unknown Artist
English Lyrics
Ambar bhi naya, dharti bhi nai aur Naya Yerooshalem hoga Har subah nai har shaam nai Har vaqt suhana hoga Sundar sa nagar ek hoga - 2 Andhe ki aankh khulegi, bahre ka kaan khulega - 2 Daudega jor se langda, goonga mahima gaaega Koi kasht nahi, aansoo bhi nahi Bas pyaar he pyaar hoga - har subah nai Sooraj na doobega, chaand bhi na soyega - 2 Kabhi andhera na hoga, aur paap ka naam na hoga Waha maut nahi beemari nahi Kabhi kisi ka ant na hoga - har subah nai
Native Lyrics
अम्बर भी नया, धरती भी नई और नया येरूशलेम होगा हर सुबह नई हर शाम नई हर वक़्त सुहाना होगा सुन्दर सा नगर एक होगा - २ अंधे की आँख खुलेगी, बहरे का कान खुलेगा - २ दौडेगा जोर से लंगडा, गूंगा महिमा गाएगा कोई कष्ट नहीं, आंसू भी नहीं बस प्यार हे प्यार होगा - हर सुबह नई सूरज न डूबेगा, चाँद भी न सोयेगा - २ कभी अँधेरा न होगा, और पाप का नाम न होगा वहा मौत नहीं बीमारी नहीं कभी किसी का अंत न होगा - हर सुबह नई