Aao Maseeh Ke Paas Ki Ab Vo Bula Raha
आओ मसीह के पास, की अब वो बुला रहा
Unknown Artist
English Lyrics
Aao maseeh ke paas, ki ab vo bula raha - 2 Tauba karo gunaah se, vo lahoo baha raha - 2 Dar dar ho kyon bhatakte, jeevan ki rah mein Ek baar aake dekho, yeshu ki baahan mein Kitna bhi ho andhera - 2 Jyoti dene tumhe Ab vo bula raha - 2 Toda hai har kisi na, tumhare vishwas ko Shayad sabhi kuch pa kar khoya hai aas ko Kitni ho na umeedi - 2 Aasha dene tumhe Ab vo bula raha - 2 Dhup aur chhaanv hai zindagi lamba hai ye safar Saaya bhi sath chhodta yeshu hai ham safar Kitni kathin ho rahein - 2 Manzil dene tumhe Ab vo bula raha - 2
Native Lyrics
आओ मसीह के पास, की अब वो बुला रहा - २ तौबा करो गुनाह से, वो लहू बहा रहा - २ दर दर हो क्यों भटकते, जीवन की रह में एक बार आके देखो, येशु की बाहं में कितना भी हो अँधेरा - 2 ज्योति देने तुम्हे अब वो बुला रहा - 2 तोडा है हर किसी न, तुम्हारे विश्वास को शायद सभी कुछ पा कर खोया है आस को कितनी हो न उमीदी - 2 आशा देने तुम्हे अब वो बुला रहा - 2 धुप और छांव है ज़िन्दगी लम्बा है ये सफ़र साया भी साथ छोड़ता येशु है हम सफ़र कितनी कठिन हो रहें - २ मंजिल देने तुम्हे अब वो बुला रहा - २