Aanandit Raho Prabhu Mein Aanandit Raho Reprise
आनंदित रहो प्रभु में आनंदित रहो
Unknown Artist
English Lyrics
Aanandit raho prabhu mein aanandit raho Aanandit raho prabhu mein aanandit raho Main phir se kehta hoon sada aanandit raho Jab tumhara man bojhil ho Chalte chalte thak gaye ho Apna bojh prabhu par daal do Usko hai tumharakhyaal Aanandit raho... Jab tumhara praan vyaakul ho Jeevan mein nirasha ho Rako apna bharosa prabhu par Jeevan ko aanand se bharega Aanandit raho... Jab tumhein log sataya karein Mere kaaran tumhari ninda ho Himmat na haaro sab kuchh sah lo Swarg mein hai tumhara bada pratifal Aanandit raho...
Native Lyrics
आनंदित रहो प्रभु में आनंदित रहो आनंदित रहो प्रभु में आनंदित रहो मैं फिर से कहता हूँ सदा आनंदित रहो जब तुम्हारा मन बोझिल हो चलते चलते थक गये हो अपना बोझ प्रभु पर डाल दो उसको है तुम्हाराख़्याल आनंदित रहो... जब तुम्हारा प्राण व्याकुल हो जीवन में निराशा हो रखो अपना भरोसा प्रभु पर जीवन को आनंद से भरेगा आनंदित रहो... जब तुम्हें लोग सताया करें मेरे कारण तुम्हारी निंदा हो हिम्मत ना हारो सब कुछ सह लो स्वर्ग में है तुम्हारा बड़ा प्रतिफल आनंदित रहो...