Aaradhna Ho Aatma Se

आराधना हो आत्मा से

Unknown Artist

English Lyrics

Aaradhna ho aatma se
Aaradhna ho sacchaai se
Har ek jeev jismein ho praan
Yahova ki aaradhna karen

1 Yahova Raafa vo hai tera changaai denewala
Changa karta haathon se chhookar aa tu uske paas 2
Bahta uska lahu kroos ke tale 2
Aaye jo bhi uske paas deta vo chhutkaara;- aaradhna...

2 Yahova Shalom vo hai tera shaanti denewala
Apni aashishon se vo bharega tere jeevan ko 2
Maha saagar jaisi baadhaon me kholega dwaar 2
Paap aur shraap honge door Yeeshu ke lahu se;- aaradhna...

3 Yahova Nissi vo hai tera vijay denewala
Shatru tere ghere tujhko tu na ghabraana 2
Dekh tere saamne prabhu ne de di vijay 2
Chhutkaara keval Yeeshu hi me hai;- aaradhna...

4 Main jeevan bhar Yahova ke geet gaata rahoon
Bana rahoonga jab tak main gaaun uska bhajan 2
Prabhu ki seva karoon jab tak hai mujhmein jaan 2
Chahe saari duniya kare mera apmaan;- aaradhna...

Native Lyrics

आराधना हो आत्मा से
आराधना हो सच्चाई से
हर एक जीव जिसमें हो प्राण
यहोवा की आराधना करें

1 यहोवा राफा वो है तेरा चंगाई देनेवाला
चंगा करता हाथों से छूकर आ तू उसके पास 2
बहता उसका लहू क्रूस के तले 2
आये जो भी उसके पास देता वो छुटकारा;- आराधना...

2 यहोवा शालोम वो है तेरा शांति देनेवाला
अपनी आशीषों से वो भरेगा तेरे जीवन को 2
महा सागर जैसी बाधाओं मे खोलेगा द्वार 2
पॉप और श्राप होंगे दूर यीशु के लहू से;- आराधना...

3 यहोवा निस्सी वो है तेरा विजय देनेवाला
शत्रु तेरे घेरे तुझको तू न घबराना 2
देख तेरे सामने प्रभु ने दे दी विजय 2
छुटकारा केवल यीशु ही मे है;- आराधना...

4 मैं जीवन भर यहोवा के गीत गाता रहूँ
बना रहूँगा जब तक मैं गाऊँ उसका भजन 2
प्रभु की सेवा करूँ जब तक है मुझमें जान 2
चाहे सारी दुनिया करे मेरा अपमान;- आराधना...
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"