Aasmanon Mein Hai Mera Bhi Ek Maken

आसमानों में है, मेरा भी एक मकान

Unknown Artist

English Lyrics

Aasmanon mein hai,
Mera bhi ek makan,
Usmein rahenge hum jaakar,
Chhodenge jab ye jahaan

Main kaahe ghabraoon,
Mera bharosa wahi,
Usne kiya hai waada,
Waada hai saccha sahi,
Jagah banaoon jaake,
Apne pita ke yahaan,
Aasmanon...

Likha gaya memne ki,
Pustak mein mera bhi naam
Mujh paapi par hua tha,
Uske poojan ka ye kaam
Usne bachaya hai mujhko,
Wo hai bada meherbaan,
Aasmanon...

Jhoothe jahaan mein tasalli,
Kabhi nahi paaoge
Yeshu ke paas bojh laao,
Tabhi aaraam paaoge
Uske sang rahenge hum jaake
Chhodenge jab ye jahaan,
Aasmanon...

Native Lyrics

आसमानों में है,
मेरा भी एक मकान,
उसमें रहेंगे हम जाकर,
छोड़ेंगे जब ये जहाँ

मैं काहे घबराऊँ,
मेरा भरोसा वही,
उसने किया है वादा,
वादा है सच्चा सही,
जगह बनाऊँ जाके,
अपने पिता के यहाँ,
आसमानों...

लिखा गया मेमने की,
पुस्तक में मेरा भी नाम
मुझ पापी पर हुआ था,
उसके पूजन का ये काम
उसने बचाया है मुझको,
वो है बड़ा मेहरबान,
आसमानों...

झूठे जहाँ में तसल्ली,
कभी नहीं पाओगे
यीशु के पास बोझ लाओ,
तभी आराम पाओगे
उसके संग रहेंगे हम जाके
छोड़ेंगे जब ये जहाँ,
आसमानों...
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"