Parameshwar Ko Santusht Karne Ka Prayas
परमेश्वर को संतुष्ट करने का प्रयास उसके
Unknown Artist
English Lyrics
Parameshwar ko santusht karne ka prayas uske Vachnon ko abhyas mein lane ke liye Apne parameshwar premi hriday ka upayog karna Hai. Chahe jo bhi samay ho tab bhi jab doosre Log ashakt hote hain. Tumhara bheetar parameshwar premi hriday hota Hai aur tum bheetar gehrai se parameshwar ke liye Tadapte ho aur use Yaad karte ho. Yah vaastavik Aadhyatmik kad hai. Tumhara aadhyatmik kad asal mein Kitna bada hai. Yah is baat par nirbhar Karta hai ki tumhare paas Kitni maatra mein parameshwar premi Hriday hai. Pareekshan karne par tum adig rah sakte Ho ya nahin Apne saamne koi khaas parivesh aane par tum Kamajor to nahin pad jaate Aur apne bhai behnon dwara thukrae jaane par Tum adig rah paate ho ya nahin Tathyon ke saamne aane se pata chalega Ki tumhara parameshwar premi hriday Kaisa aisa hai Parameshwar Ke adhikaansh kaary se yah dekha ja sakta hai Ki parameshwar sachamuch manushya se prem Karta hai. Halaanki manushya ki aatma ki aankhon ka poori Tarah se khulna abhi baaki hai. Aur vah parameshwar ke bahut saare Kaary aur uske iradon ko aur usse sambandhit Bahut si pyaari cheezein Saaf dekhne mein Asamarth hai. Manushya mein parameshwar ke prati Saccha prem bahut kam hai. Tumne is poore Samay ke dauraan parameshwar par vishwas kiya Hai. Aur yah parameshwar ka kathor nyaay aur sarvocch Uddhaar hi hai jo tumhe is sahi Maarg par le jaata hai. Kathinai aur shodhan ka anubhav karne ke baad Hi manushya jaan paata hai ki Parameshwar pyaara hai. Aaj tak iska anubhav karne ke baad kaha Ja sakta hai ki manushya parameshwar ki manoharta Ka ek ansh jaan gaya hai. Parantu yah Abhi bhi Aparyaapt Hai kyonki manushya mein bahut saari Kamiyan hain. Manushya ko parameshwar ke adbhut kaaryon ka Aur parameshwar dwara vyavasthit Kashton ke sabhi shodhan ka aur adhik anubhav karna Chahie. Tabhi manushya ka jeevan swabhav Badal sakta hai.
Native Lyrics
परमेश्वर को संतुष्ट करने का प्रयास उसके वचनों को अभ्यास में लाने के लिए अपने परमेश्वर प्रेमी हृदय का उपयोग करना है। चाहे जो भी समय हो तब भी जब दूसरे लोग अशक्त होते हैं। तुम्हारा भीतर परमेश्वर प्रेमी हृदय होता है और तुम भीतर गहराई से परमेश्वर के लिए तड़पते हो और उसे याद करते हो। यह वास्तविक आध्यात्मिक कद है। तुम्हारा आध्यात्मिक कद असल में कितना बड़ा है। यह इस बात पर निर्भर करता है कि तुम्हारे पास कितनी मात्रा में परमेश्वर प्रेमी हृदय है। परीक्षण करने पर तुम अडिग रह सकते हो या नहीं अपने सामने कोई खास परिवेश आने पर तुम कमजोर तो नहीं पड़ जाते और अपने भाई बहनों द्वारा ठुकराए जाने पर तुम अडिग रह पाते हो या नहीं तथ्यों के सामने आने से पता चलेगा कि तुम्हारा परमेश्वर प्रेमी हृदय कैसा ऐसा है परमेश्वर के अधिकांश कार्य से यह देखा जा सकता है कि परमेश्वर सचमुच मनुष्य से प्रेम करता है। हालांकि मनुष्य की आत्मा की आंखों का पूरी तरह से खुलना अभी बाकी है। और वह परमेश्वर के बहुत सारे कार्य और उसके इरादों को और उससे संबंधित बहुत सी प्यारी चीजें साफ देखने में असमर्थ है। मनुष्य में परमेश्वर के प्रति सच्चा प्रेम बहुत कम है। तुमने इस पूरे समय के दौरान परमेश्वर पर विश्वास किया है। और यह परमेश्वर का कठोर न्याय और सर्वोच्च उद्धार ही है जो तुम्हें इस सही मार्ग पर ले जाता है। कठिनाई और शोधन का अनुभव करने के बाद ही मनुष्य जान पाता है कि परमेश्वर प्यारा है। आज तक इसका अनुभव करने के बाद कहा जा सकता है कि मनुष्य परमेश्वर की मनोहरता का एक अंश जान गया है। परंतु यह अभी भी अपर्याप्त है क्योंकि मनुष्य में बहुत सारी कमियां हैं। मनुष्य को परमेश्वर के अद्भुत कार्यों का और परमेश्वर द्वारा व्यवस्थित कष्टों के सभी शोधन का और अधिक अनुभव करना चाहिए। तभी मनुष्य का जीवन स्वभाव बदल सकता है।