Jai Jai Prabhu Yeshu Ki
जय जय प्रभु यीशु की २
Unknown Artist
English Lyrics
Jai jai prabhu Yeshu ki 2 hamko bachane aaya jagat mein uski stuti karo gao khushi ke geet he dharti he aakaash aaya maseeh jag mein paap ko karne naash 1 Khoon ki dhara bahti sooli se jis me dhule sab paap dho lo ab tum apne hriday ko usme rahe na daag (2) 2 Grahan karo tum aaj Yeshu ko prem ki bahti dhara usko bana lo khevanhaara naav laga lo paar (2) 3 Vaapas aata mera prabhu jee le jaega sath aasha meri ab to yahi hai chalo tum mere sath (2) 4 Hardam honge sath Yeshu ke khushi aur shaanti aaraam aaega vo lene tumhein bhi rahna tum taiyaar (2)
Native Lyrics
जय जय प्रभु यीशु की २ हमको बचाने आया जगत में उसकी स्तुति करो गाओ ख़ुशी के गीत हे धरती हे आकाश आया मसीह जग में पाप को करने नाश 1 खून की धरा बहती सूली से जिस मे धुले सब पाप धो लो अब तुम अपने ह्रदय को उसमे रहे न दाग (2) 2 ग्रहण करो तुम आज यीशु को प्रेम की बहती धारा उसको बना लो खेवनहारा नाव लगा लो पार (2) 3 वापस आता मेरा प्रभु जी ले जाएगा साथ आशा मेरी अब तो यही है चलो तुम मेरे साथ (2) 4 हरदम होंगे साथ यीशु के ख़ुशी और शांति आराम आएगा वो लेने तुम्हें भी रहना तुम तैयार (2)