Jeevan Ki Khoj Mein Nikla Re

जीवन की खोज में निकला रे

Unknown Artist

English Lyrics

Jeevan ki khoj mein nikla re – 2
Yeeshu paaya, Yeeshu paaya – 2
Maarg paaya, satya paaya,
Jeevan paaya re (4 baar)
O saathi re, saathi re
Ai bandhu re, bandhu re

Iss duniya mein, ghor andhera
Shaitan ne hai, daala dera
Sabke man ko, usne ghera – 2
O nikla ujiyaare ki khoj mein – 2
Yeeshu paaya, Yeeshu paaya
Maarg paaya...

Man ke andar, paap ki nagri
Bharti jaaye, karm ki gagri
Kaun bachaaye, bhav saagar se
Haan, meri pyaasi ankhiyaan tarse
Nikla chhutkaare ki khoj mein – 2
Yeeshu paaya..

Native Lyrics

जीवन की खोज में निकला रे – 2
यीशु पाया, यीशु पाया – 2
मार्ग पाया, सत्य पाया,
जीवन पाया रे (4 बार)
ओ साथी रे, साथी रे
ऐ बंधु रे, बंधु रे

इस दुनिया में, घोर अंधेरा
शैतां ने है, डाला डेरा
सबके मन को, उसने घेरा – 2
ओ निकला उजियारे की खोज में – 2
यीशु पाया, यीशु पाया
मार्ग पाया...

मन के अंदर, पाप की नगरी
भरती जाये, कर्म की गगरी
कौन बचाये, भव सागर से
हाँ, मेरी प्यासी अंखियाँ तरसे
निकला छुटकारे की खोज में – 2
यीशु पाया..
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"