Teri Aaradhana Karoon

तेरी आराधना करूँ

Unknown Artist

English Lyrics

Teri aaradhana karoon
Teri aaradhana karoon
Paap kshama kar jeevan de de
Daya ki yaachana karoon

Tu hi mahaan, sarv shaktimaan
Tu hi hai mere jeevan ka sangeet
Hridaya ke taar, chhede jhankaar-2
Teri aaradhana hai madhur geet-2
Jeevan se mere tu mahima paaye
Ek hi kaamna karoon
Paap kshama kar...

Srishti ke har ek kan kan mein
Chhaaya hai teri hi mahima ka raaj,
Pakshi bhi karte hain teri prashansa -2
Har pal sunaate hain aanand ka raag-2
Meri bhi bhakti tujhe grahan ho,
Hridaya se praarthana karoon
Paap kshama kar...

Patit jeevan mein jyoti jala de
Tujh hi se lagi hai aasha meri
Paapmay tan ko door hata de -2
Poorn ho abhilaasha meri – 2
Jeevan ke kathin dukhi kshanon ka,
Dridhata se samaana karoon,
Paap kshama...

Native Lyrics

तेरी आराधना करूँ
तेरी आराधना करूँ
पाप क्षमा कर जीवन दे दे
दया की याचना करूँ

तू ही महान, सर्व शक्तिमान
तू ही है मेरे जीवन का संगीत
हृदय के तार, छेड़े झनकार-2
तेरी आराधना है मधुर गीत-2
जीवन से मेरे तू महिमा पाये
एक ही कामना करूँ
पाप क्षमा कर...

सृष्टि के हर एक कण कण में
छाया है तेरी ही महिमा का राज,
पक्षी भी करते हैं तेरी प्रशंसा -2
हर पल सुनाते हैं आनंद का राग-2
मेरी भी भक्ति तुझे ग्रहण हो,
हृदय से प्रार्थना करूँ
पाप क्षमा कर...

पतित जीवन में ज्योति जला दे
तुझ ही से लगी है आशा मेरी
पापमय तन को दूर हटा दे -2
पूर्ण हो अभिलाषा मेरी – 2
जीवन के कठिन दुखी क्षणों का,
दृढ़ता से समाना करूँ,
पाप क्षमा...
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"