Prabhu Yahova Mujhme Hai
प्रभु यहोवा मुझमें है
Unknown Artist
English Lyrics
Prabhu yahova mujhme hai Aajkal uska dera hai Apni aag se mujhko wo Hardam ghere rahta hai Vinti se badhkar, samajh se aage Kaam wo mujhmed karta hai Uska mere andar rahna Rahashye hai, rahashye hai Prabhu yahova... Mera prabhu yadi aankh hai To main uski putli hoon Jo koi mujhe chhoota hai Uski putli chhoota hai Prabhu yahova... Paraakrami hai mera prabhu Mujhko shastr banaata hai Apne dhanush ka teer banaakar Shatru ko giraata hai Prabhu yahova... Mera prabhuji aa raha Santon ko le jaane ko Apne raaj mein hamein bithaakar Shiromani banaane ko Prabhu yahova...
Native Lyrics
प्रभु यहोवा मुझमें है आजकल उसका डेरा है अपनी आग से मुझको वो हरदम घेरे रहता है विनती से बढ़कर, समझ से आगे काम वो मुझमें करता है उसका मेरे अंदर रहना रहस्य है, रहस्य है प्रभु यहोवा... मेरा प्रभु यदि आँख है तो मैं उसकी पुतली हूँ जो कोई मुझे छूता है उसकी पुतली छूता है प्रभु यहोवा... पराक्रमी है मेरा प्रभु मुझको शस्त्र बनाता है अपने धनुष का तीर बनाकर शत्रु को गिराता है प्रभु यहोवा... मेरा प्रभुजी आ रहा संतों को ले जाने को अपने राज में हमें बिठाकर शिरोमणि बनाने को प्रभु यहोवा...