Mubarak Hai Wo Aadmi
मुबारक है वो आदमी
Unknown Artist
English Lyrics
Mubarak hai wo aadmi Jo paap ke raaste pe nahi chalta hai Rukta nahi paapiyon ke raaste mein kabhi Jinko nafrat hai khuda se Unki mehfil mein na jaaye Jisko shariyat mein khuda ki Hi maza milta hai Mubarak hai wo aadmi ...... Wo us darakht ki maanind Jo hai paani ke kinaare - 2 Apne mausam se phal aaye Rahe patte hare bhare - 2 So wo jo kuch bhi hai karta Wo use phalta hai Jisko shariyat mein khuda ki Hi maza milta hai Mubarak hai wo aadmi ...... Sookhe tinke ki tarah Jism ye ud jaayega Uske darbaar mein paapi Na jagah paayega Ke khudawand jo hai Sadigo se milta hai Jisko shariyat mein khuda ki Hi maza milta hai Mubarak hai wo aadmi ......
Native Lyrics
मुबारक है वो आदमी जो पाप के रास्ते पे नहीं चलता है रुकता नहीं पापियों के रास्ते में कभी जिनको नफरत है खुदा से उनकी महफ़िल में न जाए जिसको शरियत में खुदा की ही मज़ा मिलता है मुबारक है वो आदमी ...... वो उस दरख्त की मानिंद जो है पानी के किनारे - २ अपने मौसम से फल आये रहे पत्ते हरे भरे - २ सो वो जो कुछ भी है करता वो उसे फलता है जिसको शरियत में खुदा की ही मज़ा मिलता है मुबारक है वो आदमी ...... सूखे तिनके की तरह जिस्म ये उड़ जाएगा उसके दरबार में पापी न जगह पायेगा के खुदावंद जो है सदिगो से मिलता है जिसको शरियत में खुदा की ही मज़ा मिलता है मुबारक है वो आदमी ......