Mera Khuda Har Roz Mujhe

मेरा खुदा हर रोज़ मुझे

Unknown Artist

English Lyrics

Mera khuda har roz mujhe
Nayi khushiyan deta hai
Shaadmaan wo shaadmaan wo
Mujhe bana deta hai

Jab hoti hai kotaahi koi
Ya baat galat mujh se
Main karta nahin
Ho jaata hai
Jab kaam galat mujh se
Mera maseeh bigde hue
Mere kaam bana deta hai
Mera khuda...

Jab bhool main jaata hoon kabhi
Bible ki baaton ko
Aur neend se uth jaata hoon
Ghabra kar raaton ko
Mera maseeh aakar mere
Sapanon ko saja deta hai
Mera khuda...

Jab gair ho jaate hain kabhi
Aise hi khafa mujh se
Aur dost bhi kar jaate hain
Aise hi zafa mujh se
Wo pyaar ki phulwaari se meri
Raahoon ko saza deta hai
Mera khuda...

Native Lyrics

मेरा खुदा हर रोज़ मुझे
नई खुशियाँ देता है
शादमाँ वो शादमाँ वो
मुझे बना देता है

जब होती है कोताही कोई
या बात गलत मुझ से
मैं करता नहीं
हो जाता है
जब काम गलत मुझ से
मेरा मसीह बिगड़े हुए
मेरे काम बना देता है
मेरा खुदा...

जब भूल मैं जाता हूँ कभी
बाइबिल की बातों को
और नींद से उठ जाता हूँ
घबरा कर रातों को
मेरा मसीह आकर मेरे
सपनों को सजा देता है
मेरा खुदा...

जब गैर हो जाते हैं कभी
ऐसे ही खफ़ा मुझ से
और दोस्त भी कर जाते हैं
ऐसे ही ज़फ़ा मुझ से
वो प्यार की फुलवारी से मेरी
राहों को सज़ा देता है
मेरा खुदा...
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"