Ambar Bhi Naya Dharti Bhi Nai (Variant)
अम्बर भी नया, धरती भी नई और
Unknown Artist
English Lyrics
Ambar bhi naya, dharti bhi nai aur Naya yerushalem hoga Her subah nai her shaam nai Her vaqt suhana hoga Sundar sa nagar ek hoga - 2 Andhe ki aankh khulegi, bahre ka kaan khulega - 2 Daudega jor se langda, goonga mahima gaega Koi kasht nahin, aansu bhi nahin Bas pyar he pyar hoga - her subah nai Sooraj na doobega, chaand bhi na soyega - 2 Kabhi andhera na hoga, aur paap ka naam na hoga Waha maut nahin bimaari nahin Kabhi kisi ka ant na hoga - her subah nai
Native Lyrics
अम्बर भी नया, धरती भी नई और नया येरूशलेम होगा हर सुबह नई हर शाम नई हर वक़्त सुहाना होगा सुन्दर सा नगर एक होगा - २ अंधे की आँख खुलेगी, बहरे का कान खुलेगा - २ दौडेगा जोर से लंगडा, गूंगा महिमा गाएगा कोई कष्ट नहीं, आंसू भी नहीं बस प्यार हे प्यार होगा - हर सुबह नई सूरज न डूबेगा, चाँद भी न सोयेगा - २ कभी अँधेरा न होगा, और पाप का नाम न होगा वहा मौत नहीं बीमारी नहीं कभी किसी का अंत न होगा - हर सुबह नई