Aao Masih Ke Paas

आओ मसीह के पास

Unknown Artist

English Lyrics

Aao Masih Ke Paas, Ki Ab Wo Bula Raha - 2
Tauba Karo Gunah Se, Wo Lahoo Baha Raha - 2

Dar Dar Ho Kyon Bhatakte, Jeevan Ki Rah Mein
Ek Bar Aake Dekho, Yeshu Ki Baahan Mein
Kitna Bhi Ho Andhera - 2
Jyoti Dene Tumhe
Ab Wo Bula Raha - 2

Toda Hai Har Kisi Na, Tumhare Vishwas Ko
Shayad Sabhi Kuch Pa Kar Khoya Hai Aas Ko
Kitni Ho Na Umeedi - 2
Aasha Dene Tumhe
Ab Wo Bula Raha - 2

Dhup Aur Chhav Hai Zindagi Lamba Hai Ye Safar
Saaya Bhi Saath Chhodta Yeshu Hai Hum Safar
Kitni Kathin Ho Rahein - 2
Manjil Dene Tumhe
Ab Wo Bula Raha - 2

Native Lyrics

आओ मसीह के पास, की अब वो बुला रहा - २
तौबा करो गुनाह से, वो लहू बहा रहा - २

दर दर हो क्यों भटकते, जीवन की रह में
एक बार आके देखो, येशु की बाहं में
कितना भी हो अँधेरा - 2
ज्योति देने तुम्हे
अब वो बुला रहा - 2

तोडा है हर किसी न, तुम्हारे विश्वास को
शायद सभी कुछ पा कर खोया है आस को
कितनी हो न उमीदी - 2
आशा देने तुम्हे
अब वो बुला रहा - 2

धुप और छांव है ज़िन्दगी लम्बा है ये सफ़र
साया भी साथ छोड़ता येशु है हम सफ़र
कितनी कठिन हो रहें - २
मंजिल देने तुम्हे
अब वो बुला रहा - २
TheYeshuaa TheYeshuaa · Real Worshipper

"Search Way Maker" "Open Genesis 1" "Go to Favorites"