Aao Hum Yehova Ke Liye Oonche Swar Se Gaayen
आओ हम यहोवा के लिये ऊँचे स्वर से गायें
Unknown Artist
English Lyrics
Aao hum yehova ke liye oonche swar se gaayen apni mukti ki chattaan ka jay jaykaar karen (2) 1 dhanyawaad karte hue, uske sammukh aayen bhajan gaate hue, uska jay jaykaar karen;- aao... 2 kyonki yehova, mahaan eeshwar hai saare devtaon ke oopar, vo mahaan raaja hai;- aao... 3 kyonki vo hamaara, parmeshwar hai aur hum us ki praja, uske raajya ki bheden hain;- aao...
Native Lyrics
आओ हम यहोवा के लिये ऊँचे स्वर से गायें अपनी मुक्ति की चट्टान का जय जयकार करें (2) 1 धन्यवाद करते हुए, उसके सम्मुख आयें भजन गाते हुए, उसका जय जयकार करें;- आओ... 2 क्योंकि येहोवा, महान ईश्वर है सारे देवताओं के ऊपर, वो महान राजा है;- आओ... 3 क्योंकि वो हमारा, परमेश्वर है और हम उस की प्रजा, उसके राज्य की भेड़ें हैं;- आओ...