Aasmanon Mein Hai Mera Bhi Ek Makan
आसमानों में है, मेरा भी एक मकान
Unknown Artist
English Lyrics
Aasmanon mein hai, Mera bhi ek makaan, Usein rahenge ham jaakar, Chhodenge jab ye jahaan Main kaahe ghabraoon, Mera bharosa wahi, Usne kiya hai waada, Waada hai saccha sahi, Jagah banaoon jaake, Apne pita ke yahaan, Aasmanon... Likha gaya memne ki, Pustak mein mera bhi naam Mujh paapi par hua tha, Uske poojan ka ye kaam Usne bachaya hai mujhko, Wo hai bada meherbaan, Aasmanon... Jhoothe jahaan mein tasalli, Kabhi nahin paaoge Yeshu ke paas bojh laao, Tabhi aaraam paaoge Uske sang rahenge ham jaake Chhodenge jab ye jahaan, Aasmanon...
Native Lyrics
आसमानों में है, मेरा भी एक मकान, उसमें रहेंगे हम जाकर, छोड़ेंगे जब ये जहाँ मैं काहे घबराऊँ, मेरा भरोसा वही, उसने किया है वादा, वादा है सच्चा सही, जगह बनाऊँ जाके, अपने पिता के यहाँ, आसमानों... लिखा गया मेमने की, पुस्तक में मेरा भी नाम मुझ पापी पर हुआ था, उसके पूजन का ये काम उसने बचाया है मुझको, वो है बड़ा मेहरबान, आसमानों... झूठे जहाँ में तसल्ली, कभी नहीं पाओगे यीशु के पास बोझ लाओ, तभी आराम पाओगे उसके संग रहेंगे हम जाके छोड़ेंगे जब ये जहाँ, आसमानों...