Aanandit Raho Prabhu Mein
आनंदित रहो प्रभु में आनंदित रहो
Unknown Artist
English Lyrics
Aanandit raho prabhu mein aanandit raho Main phir se kehta hoon sada aanandit raho (ho )...(2) 1 Jab tumhara man bozhil Chalte chalte tak gaye ho (2) Apna bozh prabhu par daal do Usko hai tumhara khayaal (2) 2 Jab tumhara praan vyaakul ho Jeevan mein niraasha ho (2) Rakh apna bharosa prabhu par Jeevan ko aanand se bharega (2) 3 Jab tumhe log sataya kare Prabhu ke kaaran tumhari ninda ho (2) Himmat na haaro sab kuchh sahalo Swarg mein hai tumhara bada pratiphal (2)
Native Lyrics
आनंदित रहो प्रभु में आनंदित रहो मैं फिर से कहता हूँ सदा आनंदित रहो (हो )...(२) 1 जब तुम्हारा मन बोझिल चलते चलते तक गए हो (२) अपना बोझ प्रभु पर डाल दो उसको है तुम्हारा ख़याल (२) 2 जब तुम्हारा प्राण व्याकुल हो जीवन में निराशा हो (२) रख अपना भरोसा प्रभु पर जीवन को आनंद से भरेगा (२) 3 जब तुम्हे लोग सताया करे प्रभु के कारण तुम्हारी निंदा हो (२) हिम्मत न हारो सब कुछ सहलो स्वर्ग में है तुम्हारा बड़ा प्रतिफल (२)