Pavitrata Se Shobhayaman Hokar
पवित्रता से शोभायमान होकर
Unknown Artist
English Lyrics
Pavitrata se shobhayaman hokar aao ham dandavat karein aatma se aur sachhai se Yeshu ko dhanya kahein Unki stuti yugaanuyug hoti rahe unki mahima yugaanuyug hoti rahe Vah hi yogya hai stuti ke, vah hi yogya hai mahima ke vah hi yogya hai aadar ke, vah hi yogya hai tareef ke Poorab se pashchim tak, uttar se dakshin tak Yeshu naam hi stuti ke yogya hai saare mandal mein uski stuti hoti hai uske hi saamne sab jhukte hain Usko chhod kar koi prabhu nahin hai Yeshu naam mein hi uddhaar hai vah hi prabhu hai vahi raaja hai vah hi jeevit hai hamesha ke liye
Native Lyrics
पवित्रता से शोभायमान होकर आओ हम दण्डवत् करें आत्मा से और सच्चाई से यीशु को धन्य कहें उनकी स्तुति युगानुयुग होती रहे उनकी महिमा युगानुयुग होती रहे वह ही योग्य है स्तुति के, वह ही योग्य है महिमा के वह ही योग्य है आदर के, वह ही योग्य है तारीफ़ के पूरब से पश्चिम तक, उत्तर से दक्षिण तक यीशु नाम ही स्तुति के योग्य है सारे मण्डल में उसकी स्तुति होती है उसके ही सामने सब झुकते हैं उसको छोड़ कर कोई प्रभु नहीं है यीशु नाम में ही उद्धार है वह ही प्रभु है वही राजा है वह ही जीवित है हमेशा के लिए